tumhin batao tumhaara hai intizar kise
tumhīñ batāo tumhārā hai intizār kise
tumhārī yaad satātī hai baar baar kise
ye kis kī āñkhoñ se barsegā abr-e-sub.h-e-alam
shab-e-nashāt banā.egī ġham-gusār kise
lahū kā lams to ḳhanjar ke lab ne chuus liyā
dikhā.e rañg-e-tabassum ye ashk-bār kise
khileñgī kis kī tamannā.eñ sahn-e-gulshan meñ
nasīb aa.egā vo mausam-e-bahār kise
ye dostoñ kī navāzish hai ai 'asad' varna
ḳhutūt aa.e haiñ is tarah be-shumār kise
tumhin batao tumhaara hai intizar kise
tumhaari yaad satati hai bar bar kise
ye kis ki aankhon se barsega abr-e-subh-e-alam
shab-e-nashat banaegi gham-gusar kise
lahu ka lams to KHanjar ke lab ne chus liya
dikhae rang-e-tabassum ye ashk-bar kise
khilengi kis ki tamannaen sahn-e-gulshan mein
nasib aaega wo mausam-e-bahaar kise
ye doston ki nawazish hai ai 'asad' warna
KHutut aae hain is tarah be-shumar kise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.