tund-KHu hawa bhi kab kaam kar saki tanha
tund-ḳhū havā bhī kab kaam kar sakī tanhā
āñdhiy.oñ meñ raushan hai sham-e-zindagī tanhā
saath saath chalte haiñ ġham rah-e-masarrat meñ
raas kis ko aayā hai lamha-e-ḳhushī tanhā
aur tez hotā hai vahshatoñ ke aalam meñ
kyā havā bujhā.egī raqs-e-sho.alagī tanhā
sub.h ke musāfir ko kaun rok saktā hai
rāsta banātā hai sail-e-raushnī tanhā
rah ga.e sabhī pīchhe zo.am-e-ḳhud-numā.ī meñ
kaam aa gayā apnā jazb-e-be-ḳhudī tanhā
jis jagah farishtoñ ke bhī qadam nahīñ pahuñche
le gayā mujhe merā zauq-e-āgahī tanhā
bulbuloñ ke naġhme the chaar sū jahāñ 'siddīq'
ḳhema-zan gulistāñ meñ ab hai ḳhāmushī tanhā
tund-KHu hawa bhi kab kaam kar saki tanha
aandhiyon mein raushan hai sham-e-zindagi tanha
sath sath chalte hain gham rah-e-masarrat mein
ras kis ko aaya hai lamha-e-KHushi tanha
aur tez hota hai wahshaton ke aalam mein
kya hawa bujhaegi raqs-e-shoalagi tanha
subh ke musafir ko kaun rok sakta hai
rasta banata hai sail-e-raushni tanha
rah gae sabhi pichhe zoam-e-KHud-numai mein
kaam aa gaya apna jazb-e-be-KHudi tanha
jis jagah farishton ke bhi qadam nahin pahunche
le gaya mujhe mera zauq-e-agahi tanha
bulbulon ke naghme the chaar su jahan 'siddiq'
KHema-zan gulistan mein ab hai KHamushi tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.