turbat pe wo jo aae to aalam naya hua
turbat pe vo jo aa.e to aalam nayā huā
phūloñ meñ jaan paḌ ga.ī sabza harā huā
dekhā gayā na ashkoñ kā dariyā baḌhā huā
paanī baras rahā thā ki qāsid havā huā
shāmat hai kis kī kaun ye pūchhe ki kyā huā
'safdar' ko jā rahā hai koī kostā huā
aa.e nikālne vo mire dil kī hasrateñ
aa.e ujāḌne ko mirā ghar basā huā
suntā huuñ be-naqāb vo aaj aa.e baam par
kyā jaane hashr dekhne vāloñ kā kyā huā
kyā kyā batā.ūñ bigḌe hue tevaroñ meñ hai
ġhusse meñ bhī hai pyaar kā naqsha khichā huā
hai aur rang-o-bū gul-e-āriz se aap ke
do phūloñ se hai gulshan-e-ālam basā huā
vaa.iz ko kyā huā hai ki tauba ke baad bhī
baiThā hai ḳhum kī tarah jo ham se bharā huā
aa aa ke jā chuke ka.ī mausam bahār ke
ab tak asīr-e-dām na koī rihā huā
hisse meñ aa gayā vahī sīmāb-o-barq ke
jo iztirāb thā mire dil se bachā huā
pūchhā kisī ne haal jo 'safdar' kā yuuñ kahā
zinda thā raat sub.h ko kyā jaane kyā huā
turbat pe wo jo aae to aalam naya hua
phulon mein jaan paD gai sabza hara hua
dekha gaya na ashkon ka dariya baDha hua
pani baras raha tha ki qasid hawa hua
shamat hai kis ki kaun ye puchhe ki kya hua
'safdar' ko ja raha hai koi kosta hua
aae nikalne wo mere dil ki hasraten
aae ujaDne ko mera ghar basa hua
sunta hun be-naqab wo aaj aae baam par
kya jaane hashr dekhne walon ka kya hua
kya kya bataun bigDe hue tewaron mein hai
ghusse mein bhi hai pyar ka naqsha khicha hua
hai aur rang-o-bu gul-e-ariz se aap ke
do phulon se hai gulshan-e-alam basa hua
waiz ko kya hua hai ki tauba ke baad bhi
baiTha hai KHum ki tarah jo hum se bhara hua
aa aa ke ja chuke kai mausam bahaar ke
ab tak asir-e-dam na koi riha hua
hisse mein aa gaya wahi simab-o-barq ke
jo iztirab tha mere dil se bacha hua
puchha kisi ne haal jo 'safdar' ka yun kaha
zinda tha raat subh ko kya jaane kya hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.