turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya
turra use jo husn-e-dil-āzār ne kiyā
andher gesū-e-siyah-e-yār ne kiyā
gul se jo sāmnā tire ruḳhsār ne kiyā
mizhgāñ ne vo kiyā ki jo kuchh ḳhaar ne kiyā
nāz-o-adā ko tark mire yaar ne kiyā
ġhamza nayā ye turk sitamgār ne kiyā
afshāñ se kushta abrū-e-ḳhamdār ne kiyā
jauhar se kaam yaar kī talvār ne kiyā
qāmat tirī dalīl qayāmat kī ho ga.ī
kaam āftāb-e-hashr kā ruḳhsār ne kiyā
merī nigah ke rashk se rauzan ko jaan dī
raḳhna ye qasr-e-yār kī dīvār ne kiyā
saudā-e-zulf meñ mujhe aayā ḳhayāl-e-ruḳh
mushtāq raushnī kā shab-e-tār ne kiyā
hasrat hī bosa-e-lab-e-shīrīñ kī rah ga.ī
mīThā na muñh ko tere namak-ḳhvār ne kiyā
fursat milī na girya se ik lahza ishq meñ
paanī mire lahū ko is āzār ne kiyā
sīmāb kī tarah se shagufta huā mizāj
iksīr mujh ko mere ḳharīdār ne kiyā
qad meñ to kar chukā thā vo ahmaq barābarī
majbūr sarv ko tirī raftār ne kiyā
hairat se pā-ba-gil hue rauzan ko dekh kar
dīvār ham ko yaar kī dīvār ne kiyā
patthar ke aage sajda kyā tū ne brahman
kāfir tujhe tire but-e-pindār ne kiyā
kāvish mizha ne kī ruḳh-e-dilbar kī diid meñ
pā-e-nigāh se bhī ḳhalish ḳhaar ne kiyā
'āshiq kī tarah maiñ jo lagā karne bandagī
āzād daaġh de ke ḳharīdār ne kiyā
e'jāz kā 'ajab lab-e-jāñ-baḳhsh se nahīñ
paiġhambar us ko mus.haf-e-ruḳhsār ne kiyā
turra kī tarah se dil-e-āshiq ko pech meñ
kis kis lapeT se tirī dastār ne kiyā
āñkhoñ ko band kar ke tasavvur meñ baaġh ke
gulshan qafas ko murġh-e-giraftār ne kiyā
nālāñ huā maiñ us ruḳh-e-rañgīñ ko dekh kar
bulbul mujhe nazāra-e-gulzār ne kiyā
haklā ke mujh se baat jo us dil-rubā ne kī
kis husn se adā use takrār ne kiyā
ulTā udhar naqāb to parde paḌe idhar
āñkhoñ ko band jalva-e-dīdār ne kiyā
lazzat ko tark kar to ho duniyā kā ranj duur
parhez bhī davā hai jo bīmār ne kiyā
nā-sāf ā.īna ho to bad-tar hai sañg se
raushan ye haal ham ko jalākār ne kiyā
halqa kī nāf-e-yār ke tā'rīf kyā karūñ
gol aisā dā.era nahīñ parkār ne kiyā
dīvān-e-husn-e-yār kī 'ātish' jo sair kī
dīvāna bait abrū-e-ḳhamdār ne kiyā
turra use jo husn-e-dil-azar ne kiya
andher gesu-e-siyah-e-yar ne kiya
gul se jo samna tere ruKHsar ne kiya
mizhgan ne wo kiya ki jo kuchh KHar ne kiya
naz-o-ada ko tark mere yar ne kiya
ghamza naya ye turk sitamgar ne kiya
afshan se kushta abru-e-KHamdar ne kiya
jauhar se kaam yar ki talwar ne kiya
qamat teri dalil qayamat ki ho gai
kaam aaftab-e-hashr ka ruKHsar ne kiya
meri nigah ke rashk se rauzan ko jaan di
raKHna ye qasr-e-yar ki diwar ne kiya
sauda-e-zulf mein mujhe aaya KHayal-e-ruKH
mushtaq raushni ka shab-e-tar ne kiya
hasrat hi bosa-e-lab-e-shirin ki rah gai
miTha na munh ko tere namak-KHwar ne kiya
fursat mili na girya se ek lahza ishq mein
pani mere lahu ko is aazar ne kiya
simab ki tarah se shagufta hua mizaj
iksir mujh ko mere KHaridar ne kiya
qad mein to kar chuka tha wo ahmaq barabari
majbur sarw ko teri raftar ne kiya
hairat se pa-ba-gil hue rauzan ko dekh kar
diwar hum ko yar ki diwar ne kiya
patthar ke aage sajda kya tu ne brahman
kafir tujhe tere but-e-pindar ne kiya
kawish mizha ne ki ruKH-e-dilbar ki did mein
pa-e-nigah se bhi KHalish KHar ne kiya
'ashiq ki tarah main jo laga karne bandagi
aazad dagh de ke KHaridar ne kiya
e'jaz ka 'ajab lab-e-jaan-baKHsh se nahin
paighambar us ko mushaf-e-ruKHsar ne kiya
turra ki tarah se dil-e-ashiq ko pech mein
kis kis lapeT se teri dastar ne kiya
aankhon ko band kar ke tasawwur mein bagh ke
gulshan qafas ko murgh-e-giraftar ne kiya
nalan hua main us ruKH-e-rangin ko dekh kar
bulbul mujhe nazara-e-gulzar ne kiya
hakla ke mujh se baat jo us dil-ruba ne ki
kis husn se ada use takrar ne kiya
ulTa udhar naqab to parde paDe idhar
aankhon ko band jalwa-e-didar ne kiya
lazzat ko tark kar to ho duniya ka ranj dur
parhez bhi dawa hai jo bimar ne kiya
na-saf aaina ho to bad-tar hai sang se
raushan ye haal hum ko jalakar ne kiya
halqa ki naf-e-yar ke ta'rif kya karun
gol aisa daera nahin parkar ne kiya
diwan-e-husn-e-yar ki 'atish' jo sair ki
diwana bait abru-e-KHamdar ne kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.