tu aaj aaina-ru mujh pas aa ja
tū aaj ā.īna-rū mujh paas aa jā
bahar-sūrat mujhe sūrat dikhā jā
tū aa ai ātish-e-barq-e-ġham-e-yār
mirā ye ḳhirman-e-hastī jalā jā
mirī aatī hai bas niiñd aa.e to aap
ye apnī chashm-poshī dekhtā jā
mirī jaarī haiñ aañsū aah qāsid
shitābī kah ye us ko mājrā jā
likhā maiñ ne ye us yūsuf ko kal ḳhat
aziiā dilbarā nāzuk-mizājā
rakhī hai chaah terī aah betāb
qalaq is mere dil kā tū miTā jā
ḳhudā hī hai mirī kashtī kā hāfiz
ḳhudā ke vāste tū nāḳhudā jā
na sunvā ġhair kī bāteñ sun ai yaar
tire jo jī meñ aave tū sunā jā
vahī hai jā-ba-jā bejā nahīñ ye
bajā hai us kī hī har ek jā-jā
agar jaatā hai ai mere masīhā
ilaaj is dard-e-dil kā tū batā jā
mirī siina pe rakh dast-e-nigārīñ
mirī ye aag dil kī tū bujhā jā
agar baiThā hai nāseh muñh ko sī baiTh
vagarna yaañ se uTh ai be-hayā jā
tirī naubat hī 'ehsāñ' koī din yaañ
tū Dañkā ishq kā har jā bajā jā
tu aaj aaina-ru mujh pas aa ja
bahar-surat mujhe surat dikha ja
tu aa ai aatish-e-barq-e-gham-e-yar
mera ye KHirman-e-hasti jala ja
meri aati hai bas nind aae to aap
ye apni chashm-poshi dekhta ja
meri jari hain aansu aah qasid
shitabi kah ye us ko majra ja
likha main ne ye us yusuf ko kal KHat
azia dilbara nazuk-mizaja
rakhi hai chah teri aah betab
qalaq is mere dil ka tu miTa ja
KHuda hi hai meri kashti ka hafiz
KHuda ke waste tu naKHuda ja
na sunwa ghair ki baaten sun ai yar
tere jo ji mein aawe tu suna ja
wahi hai ja-ba-ja beja nahin ye
baja hai us ki hi har ek ja-ja
agar jata hai ai mere masiha
ilaj is dard-e-dil ka tu bata ja
meri sina pe rakh dast-e-nigarin
meri ye aag dil ki tu bujha ja
agar baiTha hai naseh munh ko si baiTh
wagarna yan se uTh ai be-haya ja
teri naubat hi 'ehsan' koi din yan
tu Danka ishq ka har ja baja ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.