tu aashiqon ke tain jab se qatl-e-naz kiya
tū 'āshiqoñ ke ta.iiñ jab se qatl-e-nāz kiyā
ḳhushī haiñ minnat-e-jāñ se to be-niyāz kiyā
kahāñ kī 'aql kidhar ke havās kaisā hosh
ḳhirad ke qasr pe tū ne to tark-e-nāz kiyā
hamāre kalba-e-ahzāñ meñ kar qadam-ranja
nihāl ham ko tū ai sarv-e-sarfarāz kiyā
kiyā thā teġha-e-abrū ne muḳhtasar qissa
pa terī kākul-e-mushkīñ ne phir darāz kiyā
dil aur lā.ūñ kahāñ se lage jo auroñ se
jo ek dil thā so vo to tirī niyāz kiyā
ye tifl-e-ashk mirā 'azfarī' hai nāshudanī
javānā-marg mirī us ne faash raaz kiyā
tu 'ashiqon ke tain jab se qatl-e-naz kiya
KHushi hain minnat-e-jaan se to be-niyaz kiya
kahan ki 'aql kidhar ke hawas kaisa hosh
KHirad ke qasr pe tu ne to tark-e-naz kiya
hamare kalba-e-ahzan mein kar qadam-ranja
nihaal hum ko tu ai sarw-e-sarfaraaz kiya
kiya tha tegha-e-abru ne muKHtasar qissa
pa teri kakul-e-mushkin ne phir daraaz kiya
dil aur laun kahan se lage jo auron se
jo ek dil tha so wo to teri niyaz kiya
ye tifl-e-ashk mera 'azfari' hai nashudani
jawana-marg meri us ne fash raaz kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.