tu ab ke ajab tarah mila hai
tū ab ke ajab tarah milā hai
chehra to vahī hai dil nayā hai
suntā hī nahīñ hai ek merī
dil tere mizāj par gayā hai
tanhā bhī nahīñ magar tire ba.ad
shāmoñ kā udaas silsila hai
palkoñ pe hai kuchh namī udhar bhī
dil aaj idhar bhī ro diyā hai
chamkā hai ye kaun jis ke aage
sūraj sā charāġh bujh gayā hai
fursat use ho to us se pūchhūñ
mere liye us kā hukm kyā hai
tu ab ke ajab tarah mila hai
chehra to wahi hai dil naya hai
sunta hi nahin hai ek meri
dil tere mizaj par gaya hai
tanha bhi nahin magar tere baad
shamon ka udas silsila hai
palkon pe hai kuchh nami udhar bhi
dil aaj idhar bhi ro diya hai
chamka hai ye kaun jis ke aage
suraj sa charagh bujh gaya hai
fursat use ho to us se puchhun
mere liye us ka hukm kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.