tu ada-shanas-e-wafa nahin to main dil laga ke karunga kya
tu ada-shanas-e-wafa nahin to main dil laga ke karunga kya
Mohammad Afsar Raunqi
MORE BYMohammad Afsar Raunqi
tū adā-shanās-e-vafā nahīñ to maiñ dil lagā ke karūñgā kyā
tū na naġhma-sāz-e-hayāt hai tire giit gā ke karūñgā kyā
isī rahguzar pe mile the ham yahīñ saath saath chale the ham
yahīñ merī manzil-e-shauq hai maiñ yahāñ se jā ke karūñgā kyā
tū hai har nafas mirī zindagī ye hai merā maslak-e-bandagī
tirī yaad juzv-e-hayāt hai tujhe maiñ bhulā ke karūñgā kyā
vo fazā hī jaise badal ga.ī mirī hasratoñ ko masal ga.ī
na vo shāḳh-e-gul hai na āshiyāñ maiñ chaman meñ jā ke karūñgā kyā
yahī 'afsar' apnā maqām hai kahīñ sajda karnā harām hai
hai inhīñ kā dar hī haram mujhe kahīñ sar jhukā ke karūñgā kyā
tu ada-shanas-e-wafa nahin to main dil laga ke karunga kya
tu na naghma-saz-e-hayat hai tere git ga ke karunga kya
isi rahguzar pe mile the hum yahin sath sath chale the hum
yahin meri manzil-e-shauq hai main yahan se ja ke karunga kya
tu hai har nafas meri zindagi ye hai mera maslak-e-bandagi
teri yaad juzw-e-hayat hai tujhe main bhula ke karunga kya
wo faza hi jaise badal gai meri hasraton ko masal gai
na wo shaKH-e-gul hai na aashiyan main chaman mein ja ke karunga kya
yahi 'afsar' apna maqam hai kahin sajda karna haram hai
hai inhin ka dar hi haram mujhe kahin sar jhuka ke karunga kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.