tu agar bewafa nahin hoti
tū agar bevafā nahīñ hotī
ye qayāmat bapā nahīñ hotī
maut us ko shikast detī hai
zindagī bevafā nahīñ hotī
kaash maiñ bhī na rūThtā us se
kaash vo bhī ḳhafā nahīñ hotī
maiñ agar sach ko jhuuT kah detā
mujh ko hargiz sazā nahīñ hotī
us kī zulfoñ kī yaad aatī hai
jab falak par ghaTā nahīñ hotī
vahshateñ aur baḌhtī jaatī haiñ
chaak jab tak qabā nahīñ hotī
kab se sūraj jagā rahā hai mujhe
chashm-e-ḳhvābīda vā nahīñ hotī
chārāgar kyoñ fareb dete haiñ
dard-e-dil kī davā nahīñ hotī
jo davāoñ se kaam chaltā 'suhaib'
to yaqīnan duā nahīñ hotī
tu agar bewafa nahin hoti
ye qayamat bapa nahin hoti
maut us ko shikast deti hai
zindagi bewafa nahin hoti
kash main bhi na ruThta us se
kash wo bhi KHafa nahin hoti
main agar sach ko jhuT kah deta
mujh ko hargiz saza nahin hoti
us ki zulfon ki yaad aati hai
jab falak par ghaTa nahin hoti
wahshaten aur baDhti jati hain
chaak jab tak qaba nahin hoti
kab se suraj jaga raha hai mujhe
chashm-e-KHwabida wa nahin hoti
chaaragar kyon fareb dete hain
dard-e-dil ki dawa nahin hoti
jo dawaon se kaam chalta 'suhaib'
to yaqinan dua nahin hoti
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.