tu agar chaarasaz ho jae
tū agar chārasāz ho jaa.e
dard bhī dil-navāz ho jaa.e
ḳhud-numā.ī kā gar na ho saudā
har hasīñ ek raaz ho jaa.e
kuchh gunāhoñ meñ hai kashish varna
aadmī pāk-bāz ho jaa.e
husn ho jaa.e be-sar-o-sāmāñ
'ishq agar be-niyāz ho jaa.e
ham bahar-taur ḳhush haiñ jiine se
‘umr-e-ġham hī darāz ho jaa.e
tu agar chaarasaz ho jae
dard bhi dil-nawaz ho jae
KHud-numai ka gar na ho sauda
har hasin ek raaz ho jae
kuchh gunahon mein hai kashish warna
aadmi pak-baz ho jae
husn ho jae be-sar-o-saman
'ishq agar be-niyaz ho jae
hum bahar-taur KHush hain jine se
‘umr-e-gham hi daraaz ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.