tu agar darmiyan nahin hota
tū agar darmiyāñ nahīñ hotā
'ishq kā imtihāñ nahīñ hotā
tere qadmoñ kī ḳhaak hotā maiñ
qālib-e-jism-o-jāñ nahīñ hotā
tujh se sab kuchh jo tū nahīñ hotā
kuchh bhī ai merī jaañ nahīñ hotā
jo karūñ nazr-e-jism jaan ki dil
tere shāyān-e-shāñ nahīñ hotā
baat kartā huuñ rū-barū tujh se
jab koī darmiyāñ nahīñ hotā
vasl kī aarzū na ho jis ko
hijr us par girāñ nahīñ hotā
muskurā to rahā huuñ mahfil meñ
par ġham-e-dil nihāñ nahīñ hotā
dard agar dard-e-'ishq nai hotā
vaj.h-e-taskīn-e-jāñ nahīñ hotā
lafz har-chand aa.ine haiñ magar
dil meñ jo hai 'ayāñ nahīñ hotā
chashm bhī boltī hai chehra bhī
lafz hī tarjumāñ nahīñ hotā
tu agar darmiyan nahin hota
'ishq ka imtihan nahin hota
tere qadmon ki KHak hota main
qalib-e-jism-o-jaan nahin hota
tujh se sab kuchh jo tu nahin hota
kuchh bhi ai meri jaan nahin hota
jo karun nazr-e-jism jaan ki dil
tere shayan-e-shan nahin hota
baat karta hun ru-baru tujh se
jab koi darmiyan nahin hota
wasl ki aarzu na ho jis ko
hijr us par giran nahin hota
muskura to raha hun mahfil mein
par gham-e-dil nihan nahin hota
dard agar dard-e-'ishq nai hota
wajh-e-taskin-e-jaan nahin hota
lafz har-chand aaine hain magar
dil mein jo hai 'ayan nahin hota
chashm bhi bolti hai chehra bhi
lafz hi tarjuman nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.