tu agar dil mein ek bar aae
tū agar dil meñ ek baar aa.e
umr bhar ke liye qarār aa.e
āshiyāna hī gulsitāñ meñ nahīñ
ab ḳhizāñ aa.e yā bahār aa.e
vo na aa.eñ to ai dam-e-āḳhir
lab pe naam un kā baar baar aa.e
maut ne aasrā diyā bhī to kab
jab musībat ke din guzār aa.e
yaas kahtī hai kuchh tamannā kuchh
kis kī bātoñ pe e'tibār aa.e
ye to kuchh talḳh thī mire saaqī
ab jo aa.e vo ḳhush-gavār aa.e
us ko terā payāmbar samjhūñ
maut agar vaqt-e-intizār aa.e
'arsh' vo be-qarāriyāñ na rahīñ
dil ko ab kis tarah qarār aa.e
tu agar dil mein ek bar aae
umr bhar ke liye qarar aae
aashiyana hi gulsitan mein nahin
ab KHizan aae ya bahaar aae
wo na aaen to ai dam-e-aKHir
lab pe nam un ka bar bar aae
maut ne aasra diya bhi to kab
jab musibat ke din guzar aae
yas kahti hai kuchh tamanna kuchh
kis ki baaton pe e'tibar aae
ye to kuchh talKH thi mere saqi
ab jo aae wo KHush-gawar aae
us ko tera payambar samjhun
maut agar waqt-e-intizar aae
'arsh' wo be-qarariyan na rahin
dil ko ab kis tarah qarar aae
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 188)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.