tu agar mujhse juda ai but-e-nadan hoga
tu agar mujhse juda ai but-e-nadan hoga
Abdul Majeed Khwaja Shaida
MORE BYAbdul Majeed Khwaja Shaida
tū agar mujh se judā ai but-e-nādāñ hogā
misl-e-nāqūs ye dil hijr meñ nālāñ hogā
maujzan jabki mirā dīda-e-giryāñ hogā
ek aalam meñ bapā nuuh kā tūfāñ hogā
vo parī mere janāze ko jo kāñdhā degī
taḳhta tābūt kā aurang-e-sulaimāñ hogā
gul judā.ī meñ rahegā jo yuñhī pazhmurda
gul-e-turbat mujhe dāġh-e-ġham-e-hijrāñ hogā
khīñch lā.egī kabhī to kashish-e-ishq unheñ
guzar un kā bhī sū-e-gor-e-garībāñ hogā
tujh ko us mehr-laqā se hai jo ulfat 'shaidā'
dāġh-e-dil dekhnā rashk-e-mah-e-tābāñ hogā
tu agar mujh se juda ai but-e-nadan hoga
misl-e-naqus ye dil hijr mein nalan hoga
maujzan jabki mera dida-e-giryan hoga
ek aalam mein bapa nuh ka tufan hoga
wo pari mere janaze ko jo kandha degi
taKHta tabut ka aurang-e-sulaiman hoga
gul judai mein rahega jo yunhi pazhmurda
gul-e-turbat mujhe dagh-e-gham-e-hijran hoga
khinch laegi kabhi to kashish-e-ishq unhen
guzar un ka bhi su-e-gor-e-gariban hoga
tujh ko us mehr-laqa se hai jo ulfat 'shaida'
dagh-e-dil dekhna rashk-e-mah-e-taban hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.