tu agar phul hai KHush-rang faza hun main bhi
tū agar phuul hai ḳhush-rang fazā huuñ maiñ bhī
tū jo gulshan hai to phir mauj-e-sabā huuñ maiñ bhī
ye alag baat ki ab us kī zarūrat na rahī
tū ne māñgī thī ḳhudā se vo duā huuñ maiñ bhī
nabz-e-hastī kī bhī raftār ko pahchān zarā
dil dhaḌakne kī tire koī sadā huuñ maiñ bhī
aaj bhī apne kaf-e-dast pe tū ġhaur se dekh
phīkā phīkā hī sahī rang-e-hinā huuñ maiñ bhī
jis ke isrār pe pheñkī thī takalluf kī naqāb
ḳhalvat-e-shauq kī terī vo ḳhatā huuñ maiñ bhī
koī manzil to nahīñ rāheñ magar haiñ shāhid
ḳhud ko paane ke liye kitnā chalā huuñ maiñ bhī
kishvar-e-husn kā hai naaz agar vo ai 'nadīm'
mujh ko hai faḳhr ki taqdīs-e-vafā huuñ maiñ bhī
tu agar phul hai KHush-rang faza hun main bhi
tu jo gulshan hai to phir mauj-e-saba hun main bhi
ye alag baat ki ab us ki zarurat na rahi
tu ne mangi thi KHuda se wo dua hun main bhi
nabz-e-hasti ki bhi raftar ko pahchan zara
dil dhaDakne ki tere koi sada hun main bhi
aaj bhi apne kaf-e-dast pe tu ghaur se dekh
phika phika hi sahi rang-e-hina hun main bhi
jis ke israr pe phenki thi takalluf ki naqab
KHalwat-e-shauq ki teri wo KHata hun main bhi
koi manzil to nahin rahen magar hain shahid
KHud ko pane ke liye kitna chala hun main bhi
kishwar-e-husn ka hai naz agar wo ai 'nadim'
mujh ko hai faKHr ki taqdis-e-wafa hun main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.