tu agar sham-e-mohabbat ko farozan kar de
tū agar sham-e-mohabbat ko farozāñ kar de
tīrgī zulm kī chaak apnā garebāñ kar de
dard kyā shai hai zamāne pe numāyāñ kar de
ġham kī har mauj se hañgāma-e-tūfāñ kar de
raushan is tarah se kar ilm-o-amal kī mash.al
kam-nigāhī ke añdhere meñ charāġhāñ kar de
dekhī jaatī nahīñ be-kaif fazā-e-gulshan
uTh na.e sar se ise ḳhuld-badāmāñ kar de
tez kar sho.ala-e-ehsās-e-amal ko apne
barq-e-maġhrūr ko angusht-ba-dandāñ kar de
kaañp uThtā hai jigar sun ke jafā ke qisse
ḳhatm afsāna-e-ḳhūñ-rezī-e-insāñ kar de
sīñch kar sub.h-o-masā ḳhūn-e-jigar se apne
tū jo chāhe to bayābāñ ko gulistāñ kar de
rah ke pāband-e-qafas nāla-o-fariyād na kar
azm-e-bebāk ko ġhārat-gar-e-zindāñ kar de
muzmahil ho ke na kar bazm-e-tamannā be-kaif
naġhma-zan shauq se phir tār-e-rag-e-jāñ kar de
dil meñ us kār-e-numāyāñ kī taḌap paidā kar
jo har ik fard ko millat kā nigahbāñ kar de
paikar-e-azm-e-musammam jo tū ho jaa.e 'azīz'
sar tire qadmoñ pe ḳham gardish-e-daurāñ kar de
tu agar sham-e-mohabbat ko farozan kar de
tirgi zulm ki chaak apna gareban kar de
dard kya shai hai zamane pe numayan kar de
gham ki har mauj se hangama-e-tufan kar de
raushan is tarah se kar ilm-o-amal ki mashal
kam-nigahi ke andhere mein charaghan kar de
dekhi jati nahin be-kaif faza-e-gulshan
uTh nae sar se ise KHuld-badaman kar de
tez kar shoala-e-ehsas-e-amal ko apne
barq-e-maghrur ko angusht-ba-dandan kar de
kanp uThta hai jigar sun ke jafa ke qisse
KHatm afsana-e-KHun-rezi-e-insan kar de
sinch kar subh-o-masa KHun-e-jigar se apne
tu jo chahe to bayaban ko gulistan kar de
rah ke paband-e-qafas nala-o-fariyaad na kar
azm-e-bebak ko ghaarat-gar-e-zindan kar de
muzmahil ho ke na kar bazm-e-tamanna be-kaif
naghma-zan shauq se phir tar-e-rag-e-jaan kar de
dil mein us kar-e-numayan ki taDap paida kar
jo har ek fard ko millat ka nigahban kar de
paikar-e-azm-e-musammam jo tu ho jae 'aziz'
sar tere qadmon pe KHam gardish-e-dauran kar de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.