tu apne husn ki aaraishon mein gum ho ja
tū apne husn kī ārā.ishoñ meñ gum ho jā
mujhe na dekh mire saath sogvār na ho
tirī nazar kī ye āvārgī tujhe ma.alūm
ḳhudā kare ki kabhī mujh pe āshkār na ho
ye marhala bhī mirī vahshatoñ meñ baaqī hai
ki dil ke dard meñ terā koī shumār na ho
kabhī to ho ki kare tū bhī pyaar ke va.ade
kabhī to ho ki mujhe terā e.atibār na ho
ye soch kar tire dāman se haath khīñch liyā
kahīñ ye dast-e-vafā tujh ko nāgavār na ho
na jaane kyuuñ isī tashvīsh meñ guzārī umr
ki zindagī kisī dast-e-karam pe baar na ho
tu apne husn ki aaraishon mein gum ho ja
mujhe na dekh mere sath sogwar na ho
teri nazar ki ye aawargi tujhe malum
KHuda kare ki kabhi mujh pe aashkar na ho
ye marhala bhi meri wahshaton mein baqi hai
ki dil ke dard mein tera koi shumar na ho
kabhi to ho ki kare tu bhi pyar ke wade
kabhi to ho ki mujhe tera eatibar na ho
ye soch kar tere daman se hath khinch liya
kahin ye dast-e-wafa tujh ko nagawar na ho
na jaane kyun isi tashwish mein guzari umr
ki zindagi kisi dast-e-karam pe bar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.