tu apne martabe ki shan rakh de
tū apne martabe kī shaan rakh de
zamīr apnā uThā le jaan rakh de
kahānī phūñk de unvān rakh de
mire qātil tirī pahchān rakh de
uThā mat merā lāsha apne sar par
tabāhī kā hai ye sāmān rakh de
mashaqqat khīñch le faaqe key so jā
rizālat jis meñ ho vo naan rakh de
kisī kam-zarf se luqma na lenā
agarche apnā dastar-ḳhvān rakh de
sadā aane lagī hai rab ke ghar se
'nasīm' ab peT aur dūkān rakh de
tu apne martabe ki shan rakh de
zamir apna uTha le jaan rakh de
kahani phunk de unwan rakh de
mere qatil teri pahchan rakh de
uTha mat mera lasha apne sar par
tabahi ka hai ye saman rakh de
mashaqqat khinch le faqe key so ja
rizalat jis mein ho wo nan rakh de
kisi kam-zarf se luqma na lena
agarche apna dastar-KHwan rakh de
sada aane lagi hai rab ke ghar se
'nasim' ab peT aur dukan rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.