tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal mera
tū apne shahr-e-tarab se na pūchh haal mirā
mujhe aziiz hai ye kūcha-e-malāl mirā
abhī to honā hai ik raqs-e-be-misāl mirā
diye kī lau se abhī dekhnā visāl mirā
vo dard huuñ koī chāra nahīñ hai jis kā kahīñ
vo zaḳhm huuñ ki hai dushvār indimāl mirā
to kyā ye vaqt yūñhī rauñdtā rahegā mujhe
Darātā rahtā hai mujh ko yahī savāl mirā
javāz rakhtā huuñ maiñ apne zinda hone kā
ki ek ḳhvāb se hai silsila bahāl mirā
havā kī dostī achchhī na dushmanī achchhī
charāġh pahle na thā ab hai ham-ḳhayāl mirā
maiñ aks ban ke isī se ubharnā chāhtā huuñ
so mere ā.ina-gar aa.ina ujaal mirā
lahū kī nazr huā ek ek ḳhvāb-e-numū
havā ke saath gayā ḳhema-e-ḳhayāl mirā
kabhī maiñ sho.ala thā ab sirf raakh huuñ 'aslam'
halāk kar ke rahā mujh ko ishti.āl mirā
tu apne shahr-e-tarab se na puchh haal mera
mujhe aziz hai ye kucha-e-malal mera
abhi to hona hai ek raqs-e-be-misal mera
diye ki lau se abhi dekhna visal mera
wo dard hun koi chaara nahin hai jis ka kahin
wo zaKHm hun ki hai dushwar indimal mera
to kya ye waqt yunhi raundta rahega mujhe
Daraata rahta hai mujh ko yahi sawal mera
jawaz rakhta hun main apne zinda hone ka
ki ek KHwab se hai silsila bahaal mera
hawa ki dosti achchhi na dushmani achchhi
charagh pahle na tha ab hai ham-KHayal mera
main aks ban ke isi se ubharna chahta hun
so mere aaina-gar aaina ujal mera
lahu ki nazr hua ek ek KHwab-e-numu
hawa ke sath gaya KHema-e-KHayal mera
kabhi main shoala tha ab sirf rakh hun 'aslam'
halak kar ke raha mujh ko ishtial mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.