tu aur sachcha pyar karega chal jhuThe
tū aur sachchā pyaar karegā chal jhūThe
Duub ke dariyā paar karegā chal jhūThe
sapne mere qais-o-rāñjhā vaale haiñ
kahtā hai sākār karegā chal jhūThe
āñkheñ jhuuT kā saudā kartī phirtī haiñ
sach kā kārobār karegā chal jhūThe
jism se aage ishq dikhā.ī detā hai
ruuh kā tū dīdār karegā chal jhūThe
us kī āñkheñ us kā chehra us ke lab
sab se tū inkār karegā chal jhūThe
jis gulshan ke kāñTe tak murjhā.e haiñ
us ko kyā gulzār karegā chal jhūThe
har ik baazī ik raanī kā va.ada hai
jiit ko apnī haar karegā chal jhūThe
kashtī bahkī sāhil ke tūfānoñ se
bāhoñ ko patvār karegā chal jhūThe
ulfat uljhan aañsū naale dushvārī
jiinā tū dushvār karegā chal jhūThe
tu aur sachcha pyar karega chal jhuThe
Dub ke dariya par karega chal jhuThe
sapne mere qais-o-ranjha wale hain
kahta hai sakar karega chal jhuThe
aankhen jhuT ka sauda karti phirti hain
sach ka karobar karega chal jhuThe
jism se aage ishq dikhai deta hai
ruh ka tu didar karega chal jhuThe
us ki aankhen us ka chehra us ke lab
sab se tu inkar karega chal jhuThe
jis gulshan ke kanTe tak murjhae hain
us ko kya gulzar karega chal jhuThe
har ek bazi ek rani ka wada hai
jit ko apni haar karega chal jhuThe
kashti bahki sahil ke tufanon se
bahon ko patwar karega chal jhuThe
ulfat uljhan aansu nale dushwari
jina tu dushwar karega chal jhuThe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.