tu be-shak miTha miTha bolta hai
tū be-shak mīThā mīThā boltā hai
magar kuchh aur chehra boltā hai
tumhārā shahr hai yā karbalā hai
lagī hai pyaas dariyā boltā hai
vo āñkheñ band kar letā hai apnī
aur ā.īne ko andhā boltā hai
sunegā kyā kisī kī tū nasīhat
tire pocket meñ paisa boltā hai
bhale ho jaa.eñ gūñge saare rishte
magar mamtā kā rishta boltā hai
ġhalat rahbar ke pīchhe jā rahe ho
sañbhal jaao ye rasta boltā hai
virāsat hai hamārī bhī yahāñ par
vatan kā mere naqsha boltā hai
tū achchhā boltā hai phir bhī 'ātif'
zarūrat se ziyāda boltā hai
tu be-shak miTha miTha bolta hai
magar kuchh aur chehra bolta hai
tumhaara shahr hai ya karbala hai
lagi hai pyas dariya bolta hai
wo aankhen band kar leta hai apni
aur aaine ko andha bolta hai
sunega kya kisi ki tu nasihat
tere pocket mein paisa bolta hai
bhale ho jaen gunge sare rishte
magar mamta ka rishta bolta hai
ghalat rahbar ke pichhe ja rahe ho
sanbhal jao ye rasta bolta hai
wirasat hai hamari bhi yahan par
watan ka mere naqsha bolta hai
tu achchha bolta hai phir bhi 'atif'
zarurat se ziyaada bolta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.