tu bhi dariya hai junun-KHez guzar bhi
tū bhī dariyā hai junūñ-ḳhez guzar bhī
vādī-e-sang ke siine meñ utar bhī
qaid kar leñ chalo sūraj kī shuā.eñ
haath aa jā.eñge ḳhush-rang samar bhī
ik tirā ḳhvāb hī āñkhoñ meñ nahīñ hai
jagmagāte haiñ ka.ī aur safar bhī
vo jazīra huuñ jahāñ dhuup nahīñ hai
koī sūraj kī kiran pheñk idhar bhī
zehn to pahle hī maflūj thā apnā
dhund meñ lipTī rahī barq-e-nazar bhī
nīlgūñ aag se tashkīl huī hai
apne saa.e se laraztā hai bashar bhī
tu bhi dariya hai junun-KHez guzar bhi
wadi-e-sang ke sine mein utar bhi
qaid kar len chalo suraj ki shuaen
hath aa jaenge KHush-rang samar bhi
ek tera KHwab hi aankhon mein nahin hai
jagmagate hain kai aur safar bhi
wo jazira hun jahan dhup nahin hai
koi suraj ki kiran phenk idhar bhi
zehn to pahle hi mafluj tha apna
dhund mein lipTi rahi barq-e-nazar bhi
nilgun aag se tashkil hui hai
apne sae se larazta hai bashar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.