tū bhī gar mujh se ḳhafā ho jaa.e
zindagī merī badduā ho jaa.e
zaa.e.a mat kiijo ek lamha bhī
ek lamhe meñ jaane kyā ho jaa.e
kab se is din ke intizār meñ huuñ
ek ik be-ḳhatā rihā ho jaa.e
zindagī iḳhtilāj-e-qalb mujhe
koī aa.e mirī davā ho jaa.e
us ko darpesh mas.ale kitne
aadmī kyā kare ḳhudā ho jaa.e
sāzisheñ karne lagtā hai kyā kyā
aadmī jab zarā ḳhafā ho jaa.e
tu bhi gar mujh se KHafa ho jae
zindagi meri baddua ho jae
zaea mat kijo ek lamha bhi
ek lamhe mein jaane kya ho jae
kab se is din ke intizar mein hun
ek ek be-KHata riha ho jae
zindagi iKHtilaj-e-qalb mujhe
koi aae meri dawa ho jae
us ko darpesh masale kitne
aadmi kya kare KHuda ho jae
sazishen karne lagta hai kya kya
aadmi jab zara KHafa ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.