tu bhi ruKHsat ho raha hai dhup bhi Dhalne ko hai
tū bhī ruḳhsat ho rahā hai dhuup bhī Dhalne ko hai
mere andar ik charāġh-e-shām-e-ġham jalne ko hai
kab talak is hijr meñ āḳhir ko ronā chāhiye
aañkh bhī ḳhuuñ ho ga.ī dāman bhī ab galne ko hai
gulsitāñ meñ paḌ ga.ī hai rasm-e-tajsīm-e-bahār
apne chehre par har ik gul ḳhūn-e-dil malne ko hai
ajnabī sī sarzamīñ nā-āshnā se log haiñ
ek sūraj thā shanāsā vo bhī ab Dhalne ko hai
har na.ī manzil kī jānib sūrat-e-abr-e-ravāñ
mere hāthoñ se nikal kar merā dil chalne ko hai
shahr par tūfān se pahle kā sannāTā hai aaj
hādisa hone ko hai yā sāneha Talne ko hai
ik havā-e-tund aur hamrāh kuchh chiñgāriyāñ
ḳhaak sī uḌne ko hai aur aag sī jalne ko hai
sāmne hai niiñd kī lambī masāfat aaj shab
kārvān-e-anjum-o-mahtāb bhī chalne ko hai
tu bhi ruKHsat ho raha hai dhup bhi Dhalne ko hai
mere andar ek charagh-e-sham-e-gham jalne ko hai
kab talak is hijr mein aaKHir ko rona chahiye
aankh bhi KHun ho gai daman bhi ab galne ko hai
gulsitan mein paD gai hai rasm-e-tajsim-e-bahaar
apne chehre par har ek gul KHun-e-dil malne ko hai
ajnabi si sarzamin na-ashna se log hain
ek suraj tha shanasa wo bhi ab Dhalne ko hai
har nai manzil ki jaanib surat-e-abr-e-rawan
mere hathon se nikal kar mera dil chalne ko hai
shahr par tufan se pahle ka sannaTa hai aaj
hadisa hone ko hai ya saneha Talne ko hai
ek hawa-e-tund aur hamrah kuchh chingariyan
KHak si uDne ko hai aur aag si jalne ko hai
samne hai nind ki lambi masafat aaj shab
karwan-e-anjum-o-mahtab bhi chalne ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.