tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa
tū bhī to ek lafz hai ik din mire bayāñ meñ aa
mere yaqīñ meñ gasht kar merī hadd-e-gumāñ meñ aa
nīñdoñ meñ dauḌtā huā terī taraf nikal gayā
tū bhī to ek din kabhī mere hisār-e-jāñ meñ aa
ik shab hamāre saath bhī ḳhanjar kī nok par kabhī
larzīda chashm-e-nam meñ chal jalte hue makāñ meñ aa
narġhe meñ dostoñ ke tū kab tak rahegā surḳh-rū
neza-ba-neza dū-ba-dū-saf-hā-e-dushmanāñ meñ aa
ik roz fikr-e-āb-o-nāñ tujh ko bhī ho jān-e-jahāñ
qaus-e-abad ko toḌ kar is arsa-e-ziyāñ meñ aa
tu bhi to ek lafz hai ek din mere bayan mein aa
mere yaqin mein gasht kar meri hadd-e-guman mein aa
nindon mein dauDta hua teri taraf nikal gaya
tu bhi to ek din kabhi mere hisar-e-jaan mein aa
ek shab hamare sath bhi KHanjar ki nok par kabhi
larzida chashm-e-nam mein chal jalte hue makan mein aa
narghe mein doston ke tu kab tak rahega surKH-ru
neza-ba-neza du-ba-du-saf-ha-e-dushmanan mein aa
ek roz fikr-e-ab-o-nan tujh ko bhi ho jaan-e-jahan
qaus-e-abad ko toD kar is arsa-e-ziyan mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.