tu bhi wa ke darshan kar
tū bhī vā ke darshan kar
aañkh se kaalā chashma pheñk
chāñd kā Tiikā māthe pe
apne jīvan kā abhishek
duur añdhere hote haiñ
vā chaukhaT pe māthā Tek
sagrā jag vā kī santān
chāhe bad ho chāhe nek
tap ke kundan jaisā ban
prem bhaTī meñ man ko señk
mat kahiyo kaahū se 'nasīm'
dekhī kis kī sūrat ek
tu bhi wa ke darshan kar
aankh se kala chashma phenk
chand ka Tika mathe pe
apne jiwan ka abhishek
dur andhere hote hain
wa chaukhaT pe matha Tek
sagra jag wa ki santan
chahe bad ho chahe nek
tap ke kundan jaisa ban
prem bhaTi mein man ko senk
mat kahiyo kahu se 'nasim'
dekhi kis ki surat ek
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.