tu dard-e-taza ke unwan ki mahurat hai
tū dard-e-tāza ke 'unvān kī mahūrat hai
sakhī sakhī mujhe ab bhī tirī zarūrat hai
tujhe guphāoñ kahīñ aab naañv meñ dekhā
azal se ā.ina-dil meñ terī sūrat hai
rakkhūñ sañbhāl ke kab tak ye zindagī tujh bin
tire milan kā sabab hai na koī sūrat hai
siDaul paañv subuk sohnā sajal naañv
nasha-tarāz-badan muhnā madhūrat hai
yahī na tere liye koh kaaTe ban paaTe
tujhe kuchh aur bhī mujh se koī kudūrat hai
tu dard-e-taza ke 'unwan ki mahurat hai
sakhi sakhi mujhe ab bhi teri zarurat hai
tujhe guphaon kahin aab nanw mein dekha
azal se aaina-dil mein teri surat hai
rakkhun sanbhaal ke kab tak ye zindagi tujh bin
tere milan ka sabab hai na koi surat hai
siDaul panw subuk sohna sajal nanw
nasha-taraaz-badan muhna madhurat hai
yahi na tere liye koh kaTe ban paTe
tujhe kuchh aur bhi mujh se koi kudurat hai
- Book : Ban Baas (Pg. 173)
- Author : Naasir Shahzaad
- Publication : Alhamd Publications (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.