tu daur-e-nau ke taqazon ko apne dhyan mein rakh

tu daur-e-nau ke taqazon ko apne dhyan mein rakh
Heera Lal Falak Dehlvi
MORE BYHeera Lal Falak Dehlvi
tū daur-e-nau ke taqāzoñ ko apne dhyān meñ rakh
milā hai 'ilm qadam apne āsmān meñ rakh
sunā hai chashm-e-muarriḳh meñ raushnī kam hai
sunahrī harf bhī kuchh apnī dāstān meñ rakh
yahāñ se dūsrī duniyā meñ tujh ko jaanā hai
tū apnī ruuh kā phailāo do jahān meñ rakh
kabhī bhī baat se apnī phirā nahīñ karte
agar hai mard to kuchh puḳhtagī zabān meñ rakh
karam ḳhudā kā kisī par yūñhī nahīñ hotā
yaqīñ ke saath tū sajdoñ ko imtihān meñ rakh
kisī ko tiir ke aage jigar to laane de
na chhoḌ vaqt se pahle ise kamān meñ rakh
na daaġh dāman-e-qātil pe aur bhī hoñ 'falak'
shanāḳht apne lahū kī kisī nishān meñ rakh
tu daur-e-nau ke taqazon ko apne dhyan mein rakh
mila hai 'ilm qadam apne aasman mein rakh
suna hai chashm-e-muarriKH mein raushni kam hai
sunahri harf bhi kuchh apni dastan mein rakh
yahan se dusri duniya mein tujh ko jaana hai
tu apni ruh ka phailao do jahan mein rakh
kabhi bhi baat se apni phira nahin karte
agar hai mard to kuchh puKHtagi zaban mein rakh
karam KHuda ka kisi par yunhi nahin hota
yaqin ke sath tu sajdon ko imtihan mein rakh
kisi ko tir ke aage jigar to lane de
na chhoD waqt se pahle ise kaman mein rakh
na dagh daman-e-qatil pe aur bhi hon 'falak'
shanaKHt apne lahu ki kisi nishan mein rakh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.