tu diwana hai tu nadan hai kya
tū dīvāna hai tū nādān hai kyā
junūn-e-ishq se anjān hai kyā
mirī māyūsiyāñ kyā dekhte ho
kisī chehre pe bhī muskān hai kyā
chalā aa.e koī bhī sar uThā ke
mire dil kī galī sunsān hai kyā
ghuTan duurī taḌap aañsū aur aaheñ
mohabbat kī Dagar āsān hai kyā
tū koshish kar ugegā pyaar terā
mirā dil koī registān hai kyā
dhaḌaktī hai ye har dil meñ azal se
mohabbat be-sar-o-sāmān hai kyā
samajh paayā na ye insān ab tak
mukammal ziist kī pahchān hai kyā
sabaq zinda-dilī kā dene vaalo
tumhāre jism meñ vo jaan hai kyā
ragoñ meñ dauḌtī hai be-īmānī
kise ma.alūm hai īmān hai kyā
'zahīn' ulfat kī ik buniyād bhī hai
hilā paanā ise āsān hai kyā
tu diwana hai tu nadan hai kya
junun-e-ishq se anjaan hai kya
meri mayusiyan kya dekhte ho
kisi chehre pe bhi muskan hai kya
chala aae koi bhi sar uTha ke
mere dil ki gali sunsan hai kya
ghuTan duri taDap aansu aur aahen
mohabbat ki Dagar aasan hai kya
tu koshish kar ugega pyar tera
mera dil koi registan hai kya
dhaDakti hai ye har dil mein azal se
mohabbat be-sar-o-saman hai kya
samajh paya na ye insan ab tak
mukammal zist ki pahchan hai kya
sabaq zinda-dili ka dene walo
tumhaare jism mein wo jaan hai kya
ragon mein dauDti hai be-imani
kise malum hai iman hai kya
'zahin' ulfat ki ek buniyaad bhi hai
hila pana ise aasan hai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.