tu gaya lekin teri yaaden yahan par rah gain
tū gayā lekin tirī yādeñ yahāñ par rah ga.iiñ
baad tere bas tirī bāteñ zabāñ par rah ga.iiñ
pahle terī zaat kā paikar kahīñ par gum huā
aur na jaane phir tirī yādeñ kahāñ par rah ga.iiñ
aaj phir aisā huā jab soch kar tujh ko ai dost
āsmāñ taktī nigāheñ āsmāñ par rah ga.iiñ
kyā sitam hai kal talak jo sāmne āñkhoñ ke thiiñ
aaj vo sab sūrateñ vahm-o-gumāñ par rah ga.iiñ
dāstān-e-zindagī ke harf kab ke miT chuke
kuchh lakīreñ sī faqat ab dāstāñ par rah ga.iiñ
vaqt-e-āḳhir chal diye tanhā safar kī aur ham
sab kī sab chīzeñ jahāñ kī is jahāñ par rah ga.iiñ
tu gaya lekin teri yaaden yahan par rah gain
baad tere bas teri baaten zaban par rah gain
pahle teri zat ka paikar kahin par gum hua
aur na jaane phir teri yaaden kahan par rah gain
aaj phir aisa hua jab soch kar tujh ko ai dost
aasman takti nigahen aasman par rah gain
kya sitam hai kal talak jo samne aankhon ke thin
aaj wo sab suraten wahm-o-guman par rah gain
dastan-e-zindagi ke harf kab ke miT chuke
kuchh lakiren si faqat ab dastan par rah gain
waqt-e-aKHir chal diye tanha safar ki aur hum
sab ki sab chizen jahan ki is jahan par rah gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.