Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu hai aab-e-zindagi tu hai shabab-e-zindagi

Saadat Aabidi

tu hai aab-e-zindagi tu hai shabab-e-zindagi

Saadat Aabidi

MORE BYSaadat Aabidi

    hai āb-e-zindagī hai shabāb-e-zindagī

    tujh se sab kaif hai hai sharāb-e-zindagī

    terā aanā hai tulūa-e-māhtāb-e-zindagī

    aur tirā jaanā ġhurūb-e-āftāb-e-zindagī

    terā jaanā TūTnā tār-e-rabāb-e-zindagī

    agar aa jaa.e to khul jaa.e bāb-e-zindagī

    zindagī miltī hai bas us ko jise mil jaa.e

    dekhte haiñ yuuñ to lākhoñ log ḳhvāb-e-zindagī

    itmīnān-e-qalb se vo log haiñ nā-āshnā

    jin ko ye Dar hai ki denā hai hisāb-e-zindagī

    ik mukammal ibratoñ dars detī hai janāb

    paḌh ke dekheñ to kabhī apnī kitāb-e-zindagī

    ai 'sa.ādat' un ko piine bhī koī haq nahīñ

    talḳh jin logoñ ko lagtī hai sharāb-e-zindagī

    tu hai aab-e-zindagi tu hai shabab-e-zindagi

    tujh se hi sab kaif hai tu hai sharab-e-zindagi

    tera aana hai tulua-e-mahtab-e-zindagi

    aur tera jaana ghurub-e-aftab-e-zindagi

    tera jaana TuTna tar-e-rabab-e-zindagi

    tu agar aa jae to khul jae bab-e-zindagi

    zindagi milti hai bas us ko jise mil jae tu

    dekhte hain yun to lakhon log KHwab-e-zindagi

    itminan-e-qalb se wo log hain na-ashna

    jin ko ye Dar hai ki dena hai hisab-e-zindagi

    ek mukammal ibraton ka dars deti hai janab

    paDh ke dekhen to kabhi apni kitab-e-zindagi

    ai 'saadat' un ko pine ka bhi koi haq nahin

    talKH jin logon ko lagti hai sharab-e-zindagi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now