tu humse mil to tujhko haal-e-dil apna suna Dalen
tū ham se mil to tujh ko hāl-e-dil apnā sunā Dāleñ
kahe to jaam meñ ḳhūn-e-jigar apnā milā Dāleñ
taras khā mujh pe aur vaqt-e-junūñ yuuñ na rulā mujh ko
vagarna āñsuoñ se apne terā ġham jalā Dāleñ
havāsoñ meñ hamāre us ko ab to zinda rahne de
kahīñ aisā na ho har lamha ḳhushiyāñ ham bhulā Dāleñ
badalne ke liye kyoñ rang tujh ko itnī ujlat hai
hameñ Dar hai nishān-e-misl terī ham miTā Dāleñ
jagā rakkhā hai nīñdoñ ko hamārī jaane barsoñ se
to ho saktā hai ḳhvāboñ ko hī tere ham sulā Dāleñ
sameTā hai tujhe ḳhud meñ hamesha phūloñ kī mānind
kahīñ aisā na ho zaḳhmoñ ko tere ham khilā Dāleñ
tu hum se mil to tujh ko haal-e-dil apna suna Dalen
kahe to jam mein KHun-e-jigar apna mila Dalen
taras kha mujh pe aur waqt-e-junun yun na rula mujh ko
wagarna aansuon se apne tera gham jala Dalen
hawason mein hamare us ko ab to zinda rahne de
kahin aisa na ho har lamha KHushiyan hum bhula Dalen
badalne ke liye kyon rang tujh ko itni ujlat hai
hamein Dar hai nishan-e-misl teri hum miTa Dalen
jaga rakkha hai nindon ko hamari jaane barson se
to ho sakta hai KHwabon ko hi tere hum sula Dalen
sameTa hai tujhe KHud mein hamesha phulon ki manind
kahin aisa na ho zaKHmon ko tere hum khila Dalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.