Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu hi nahin gardish mein murakh gardish mein sansar bhi hai

Khurshid Khawar Amrohvi

tu hi nahin gardish mein murakh gardish mein sansar bhi hai

Khurshid Khawar Amrohvi

MORE BYKhurshid Khawar Amrohvi

    nahīñ gardish meñ mūrakh gardish meñ sansār bhī hai

    rogoñ se bharpūr hai duniyā rogoñ bhar-mār bhī hai

    māh-vashoñ ulfat meñ kuchh jiit bhī hai kuchh haar bhī hai

    dil bāteñ dil jaane dil ko āzār bhī hai

    mashq-e-sitam kiije dil bhar kar hāzir huuñ har tarah se maiñ

    chāhe jis se ghāyal kiije abrū bhī talvār bhī hai

    ishq-e-haqīqī meñ marnā to ain-sa.ādat hai be-shak

    kashti-e-dil Duube ubhre sāhil bhī mañjdhār bhī hai

    husn-e-talab hai apnā apnā chāhe jise apnā liije

    gulshan-e-hastī meñ sab kuchh hai phuul bhī hai aur ḳhaar bhī hai

    ye duniyā ānī-jānī hai pyāre kaun hai kis miit

    sab ko apnā samjhā hai koī tirā ġham-ḳhvār bhī hai

    jaa.ez hai maz.hab meñ us ke fikr-e-suḳhan ke saath meñ va.az

    'ḳhāvar' bābat mat pūchho zāhid bhī fan-kār bhī hai

    tu hi nahin gardish mein murakh gardish mein sansar bhi hai

    rogon se bharpur hai duniya rogon ki bhar-mar bhi hai

    mah-washon ki ulfat mein kuchh jit bhi hai kuchh haar bhi hai

    dil ki baaten dil hi jaane dil ko hi aazar bhi hai

    mashq-e-sitam kije dil bhar kar hazir hun har tarah se main

    chahe jis se ghayal kije abru bhi talwar bhi hai

    ishq-e-haqiqi mein marna to ain-saadat hai be-shak

    kashti-e-dil Dube ya ubhre sahil bhi manjdhaar bhi hai

    husn-e-talab hai apna apna chahe jise apna lije

    gulshan-e-hasti mein sab kuchh hai phul bhi hai aur KHar bhi hai

    ye duniya aani-jaani hai pyare kaun hai kis ka mit

    sab ko tu apna samjha hai koi tera gham-KHwar bhi hai

    jaez hai mazhab mein us ke fikr-e-suKHan ke sath mein waz

    'KHawar' ki babat mat puchho zahid bhi fan-kar bhi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now