tu hi tu hai jidhar gaya hun main
tū hī tū hai jidhar gayā huuñ maiñ
maut ab tujh se Dar gayā huuñ maiñ
hādisa ho gayā hai ik aisā
zinda rah kar bhī mar gayā huuñ maiñ
mujh se bas dard hī chhalaktā hai
dard se itnā bhar gayā huuñ maiñ
jaane kaise nibhā maiñ pā.ūñgā
us se vā'da to kar gayā huuñ maiñ
yuuñ to puujā kā phuul huuñ lekin
rāste meñ bikhar gayā huuñ maiñ
tu hi tu hai jidhar gaya hun main
maut ab tujh se Dar gaya hun main
hadisa ho gaya hai ek aisa
zinda rah kar bhi mar gaya hun main
mujh se bas dard hi chhalakta hai
dard se itna bhar gaya hun main
jaane kaise nibha main paunga
us se wa'da to kar gaya hun main
yun to puja ka phul hun lekin
raste mein bikhar gaya hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.