Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu is tarah se na kar lal lal aankhon ko

Ishrat Sagheer

tu is tarah se na kar lal lal aankhon ko

Ishrat Sagheer

MORE BYIshrat Sagheer

    is tarah se na kar laal laal āñkhoñ ko

    jo baat karnī ho āñkhoñ meñ Daal āñkhoñ ko

    hisāb denā paḌegā unheñ bhī mahshar meñ

    abhī to chhūT milī hai ġhazāl āñkhoñ ko

    yahī du'ā hai unheñ yuuñ rakhe ḳhudā mahfūz

    burī nazar na lage be-misāl āñkhoñ ko

    phir is ke baa'd use hosh nahīñ rahtā

    jo dekh letā hai aisī vabāl āñkhoñ ko

    koī javāb mujhe phir nahīñ milā us

    banā ke laayā sarāsar savāl āñkhoñ ko

    bas ek nusḳha batātā huuñ kāmyābī

    ki chuum lenā unhīñ nek-fāl āñkhoñ ko

    ab aise daur meñ bīnā.ī bhī aziyyat hai

    maiñ chāhtā huuñ ki pheñkūñ nikāl āñkhoñ ko

    phir ek baar use dekhne chāhat hai

    magar dubāra kahāñ hai majāl āñkhoñ ko

    kisī bhī tarh se mumkin kahāñ hai ye 'ishrat'

    ki ashk suiT kareñ ḳhush-ḳhisāl āñkhoñ ko

    tu is tarah se na kar lal lal aankhon ko

    jo baat karni ho aankhon mein Dal aankhon ko

    hisab dena paDega unhen bhi mahshar mein

    abhi to chhuT mili hai ghazal aankhon ko

    yahi du'a hai unhen yun rakhe KHuda mahfuz

    buri nazar na lage be-misal aankhon ko

    phir is ke ba'd use hosh hi nahin rahta

    jo dekh leta hai aisi wabaal aankhon ko

    koi jawab mujhe phir nahin mila us ka

    bana ke laya sarasar sawal aankhon ko

    bas ek nusKHa batata hun kaamyabi ka

    ki chum lena unhin nek-fal aankhon ko

    ab aise daur mein binai bhi aziyyat hai

    main chahta hun ki phenkun nikal aankhon ko

    phir ek bar use dekhne ki chahat hai

    magar dubara kahan hai majal aankhon ko

    kisi bhi tarh se mumkin kahan hai ye 'ishrat'

    ki ashk suiT karen KHush-KHisal aankhon ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now