tu jaanta bhi hai is kahani ka kya banega
tū jāntā bhī hai is kahānī kā kyā banegā
tirī aqīdat se sang-reza ḳhudā banegā
ise malūñgā to merī miTTī chamak uThegī
ye phuul us ke laboñ ko chhū kar duā banegā
ham itnī raġhbat se us kī āñkhoñ ko dekhte haiñ
ḳhudā-na-karda ye shauq baḌh kar nasha banegā
tire banā.e hasīn chehroñ se zaḳhm khāte
ḳhudāyā tere nahīf bandoñ kā kyā banegā
ham ek sho.ale kī dastaras meñ bhaḌak rahe haiñ
ab aage aage hamārā dil bhī diyā banegā
ye lamha jis meñ ham aaj chhup kar gale mile haiñ
agar muqaddar nahīñ milā to sazā banegā
maiñ do qabīloñ kī dushmanī ko miTā rahā huuñ
hamārī shādī se ik nayā silsila banegā
tu jaanta bhi hai is kahani ka kya banega
teri aqidat se sang-reza KHuda banega
ise malunga to meri miTTi chamak uThegi
ye phul us ke labon ko chhu kar dua banega
hum itni raghbat se us ki aankhon ko dekhte hain
KHuda-na-karda ye shauq baDh kar nasha banega
tere banae hasin chehron se zaKHm khate
KHudaya tere nahif bandon ka kya banega
hum ek shoale ki dastaras mein bhaDak rahe hain
ab aage aage hamara dil bhi diya banega
ye lamha jis mein hum aaj chhup kar gale mile hain
agar muqaddar nahin mila to saza banega
main do qabilon ki dushmani ko miTa raha hun
hamari shadi se ek naya silsila banega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.