tu jaanta hai tere jaan-nisar hain hum log
tu jaanta hai tere jaan-nisar hain hum log
Anwar Nizami Jabalpuri
MORE BYAnwar Nizami Jabalpuri
tū jāntā hai tire jāñ-nisār haiñ ham log
rah-e-vafā meñ magar sangsār haiñ ham log
hamāre azm haiñ mīloñ ke pattharoñ kī tarah
tirā nishān tirī rahguzār haiñ ham log
farishte mahv-e-ta.ajjub haiñ aaj tak jin par
ḳhirad kī zad meñ vahī shāhkār haiñ ham log
azal ko khīñch ke le jā.eñge qayāmat tak
tire karam se abhī pā.edār haiñ ham log
hamāre zabt se qaa.em hai dostī kī ravish
na aazmā ki tire ġham-gusār haiñ ham log
mizāj-e-husn samajh kar bhī ishq kar baiThe
ḳhud apne zaḳhm ke parvardigār haiñ ham log
qarīb-tar hai rag-e-jāñ se bhī vahī 'anvar'
azal se jis ke liye be-qarār haiñ ham log
tu jaanta hai tere jaan-nisar hain hum log
rah-e-wafa mein magar sangsar hain hum log
hamare azm hain milon ke pattharon ki tarah
tera nishan teri rahguzar hain hum log
farishte mahw-e-tajjub hain aaj tak jin par
KHirad ki zad mein wahi shahkar hain hum log
azal ko khinch ke le jaenge qayamat tak
tere karam se abhi paedar hain hum log
hamare zabt se qaem hai dosti ki rawish
na aazma ki tere gham-gusar hain hum log
mizaj-e-husn samajh kar bhi ishq kar baiThe
KHud apne zaKHm ke parwardigar hain hum log
qarib-tar hai rag-e-jaan se bhi wahi 'anwar'
azal se jis ke liye be-qarar hain hum log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.