tu jab ghar se chala jata hai
tū jab ghar se chalā jaatā hai
pīchhe rah bhī kyā jaatā hai
mar jaane vaalī har shai par
merā naam likhā jaatā hai
barf kā ik ik aañsū pī kar
dariyā vajd meñ aa jaatā hai
shāyad us ne dastak sun lī
dekho dar khultā jaatā hai
alif samajh meñ aa jaave to
sab kuchh paḌhnā aa jaatā hai
ā.īne ko 'ashk' dikhāne
mere saath ḳhudā jaatā hai
tu jab ghar se chala jata hai
pichhe rah bhi kya jata hai
mar jaane wali har shai par
mera nam likha jata hai
barf ka ek ek aansu pi kar
dariya wajd mein aa jata hai
shayad us ne dastak sun li
dekho dar khulta jata hai
alif samajh mein aa jawe to
sab kuchh paDhna aa jata hai
aaine ko 'ashk' dikhane
mere sath KHuda jata hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 628)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.