tu jahan hai wahan sanbhalta hai
tū jahāñ hai vahāñ sañbhaltā hai
varna ye dil kahāñ sañbhaltā hai
paañv dhartā huuñ farsh-e-imkāñ par
aage sayyārgāñ sañbhaltā hai
kaun hai zer-e-dām saf-ārā
nok-e-mizhgāñ jo yaañ sañbhaltā hai
hijr aatā hai to charāġhoñ meñ
ashk sā ik dhuāñ sañbhaltā hai
tab ḳhushī bhī kahāñ sañbhaltī thī
ab ye ġham bhī kahāñ sañbhaltā hai
vo ġhazal meñ agar muḳhātab ho
ham sā ik mad.h-ḳhvāñ sañbhaltā hai
vo sitārā 'nafīs' bāñhoñ ko
jaan kar āsmāñ sañbhaltā hai
tu jahan hai wahan sanbhalta hai
warna ye dil kahan sanbhalta hai
panw dharta hun farsh-e-imkan par
aage sayyargan sanbhalta hai
kaun hai zer-e-dam saf-ara
nok-e-mizhgan jo yan sanbhalta hai
hijr aata hai to charaghon mein
ashk sa ek dhuan sanbhalta hai
tab KHushi bhi kahan sanbhalti thi
ab ye gham bhi kahan sanbhalta hai
wo ghazal mein agar muKHatab ho
hum sa ek madh-KHwan sanbhalta hai
wo sitara 'nafis' banhon ko
jaan kar aasman sanbhalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.