tu jahan mein chaar-din mehman hai
tū jahāñ meñ chār-din mehmān hai
is ke aage aur hī sāmān hai
aadmī ik ḳhaak kā putlā hai bas
jism meñ rañgat hai jab tak jaan hai
kālā-gorā ūñchā-nīchā jo bhī ho
aadmī vo hai ki jo insān hai
gar jahannum kī haqīqat jaan lo
raah jannat kī bahut āsān hai
kuchh tire a.amāl hī achchhe na the
apnī barbādī pe kyuuñ hairān hai
kuchh nahīñ sāre-jahāñ kī daulateñ
aadmī ke dil meñ gar īmān hai
tu jahan mein chaar-din mehman hai
is ke aage aur hi saman hai
aadmi ek KHak ka putla hai bas
jism mein rangat hai jab tak jaan hai
kala-gora uncha-nicha jo bhi ho
aadmi wo hai ki jo insan hai
gar jahannum ki haqiqat jaan lo
rah jannat ki bahut aasan hai
kuchh tere aamal hi achchhe na the
apni barbaadi pe kyun hairan hai
kuchh nahin sare-jahan ki daulaten
aadmi ke dil mein gar iman hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.