tu jawan ab koi kaam ka na raha
tū javāñ ab koī kaam kā na rahā
is meñ kuchh jazba-e-irtiqā na rahā
ye fasāna nahīñ ye haqīqat hai sun
merā ho ke sanam tū mirā na rahā
har taraf shor hai ab gulistān meñ
shāḳh par koī pattā harā na rahā
ishq meñ tere jab bevafā.ī milī
tujh se milne kā ab aasrā na rahā
husn-e-yūsuf pe jis kī nigāheñ paḌīñ
misr meñ koī bhī pārsā na rahā
terī chāhat ne itne kiye haiñ sitam
zaḳhm sahne kā bhī hausla na rahā
kis tarah piitā 'sājid' sharāb-e-vafā
is meñ kuchh aaj jab zā.iqa na rahā
tu jawan ab koi kaam ka na raha
is mein kuchh jazba-e-irtiqa na raha
ye fasana nahin ye haqiqat hai sun
mera ho ke sanam tu mera na raha
har taraf shor hai ab gulistan mein
shaKH par koi patta hara na raha
ishq mein tere jab bewafai mili
tujh se milne ka ab aasra na raha
husn-e-yusuf pe jis ki nigahen paDin
misr mein koi bhi parsa na raha
teri chahat ne itne kiye hain sitam
zaKHm sahne ka bhi hausla na raha
kis tarah pita 'sajid' sharab-e-wafa
is mein kuchh aaj jab zaiqa na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.