tu jism hai to mujhse lipaT kar kalam kar
tū jism hai to mujh se lipaT kar kalām kar
ḳhushbū hai gar to dil meñ simaT kar kalām kar
maiñ ajnabī nahīñ huuñ mujhe rauñd kar na jā
nazreñ milā ke dekh palaT kar kalām kar
bālā-e-bām aane kā gar hausla nahīñ
palkoñ kī chilmanoñ meñ simaT kar kalām kar
qaus-e-quzah ke rañg mayassar nahīñ to phir
dariyā kī mauj mauj meñ baT kar kalām kar
jannat meñ yā to mujh ko purānā maqām de
yā aa mirī zamīñ meñ palaT kar kalām kar
anvar 'sadīd' aam sā banda hai us ke saath
miTTī pe baiTh gard meñ aT kar kalām kar
tu jism hai to mujh se lipaT kar kalam kar
KHushbu hai gar to dil mein simaT kar kalam kar
main ajnabi nahin hun mujhe raund kar na ja
nazren mila ke dekh palaT kar kalam kar
baala-e-baam aane ka gar hausla nahin
palkon ki chilmanon mein simaT kar kalam kar
qaus-e-quzah ke rang mayassar nahin to phir
dariya ki mauj mauj mein baT kar kalam kar
jannat mein ya to mujh ko purana maqam de
ya aa meri zamin mein palaT kar kalam kar
anwar 'sadid' aam sa banda hai us ke sath
miTTi pe baiTh gard mein aT kar kalam kar
- Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 192)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.