tu jo aabaad hai ai dost mere dil ke qarib
tū jo ābād hai ai dost mire dil ke qarīb
merī manzil bhī hai goyā tirī manzil ke qarīb
Duub jaate haiñ talātum meñ safīne aksar
Dūbtā aur hī kuchh baat hai sāhil ke qarīb
uTh gayā dūrī-e-manzil kī thakan kā ehsās
raah kuchh aur kaThin ho ga.ī manzil ke qarīb
maut har baar rihā.ī meñ mirī māne.a huī
le ga.ī ziist to aksar mujhe qātil ke qarīb
'soz' ḳhud un kī ḳhalish rashk-e-masīhā.ī hai
zaḳhm aise bhī shagufta haiñ mire dil ke qarīb
tu jo aabaad hai ai dost mere dil ke qarib
meri manzil bhi hai goya teri manzil ke qarib
Dub jate hain talatum mein safine aksar
Dubta aur hi kuchh baat hai sahil ke qarib
uTh gaya duri-e-manzil ki thakan ka ehsas
rah kuchh aur kaThin ho gai manzil ke qarib
maut har bar rihai mein meri manea hui
le gai zist to aksar mujhe qatil ke qarib
'soz' KHud un ki KHalish rashk-e-masihai hai
zaKHm aise bhi shagufta hain mere dil ke qarib
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.