tu jo ab mere muqabil pe khaDa bolta hai
tū jo ab mere muqābil pe khaḌā boltā hai
ye zarā mujh ko batā kitnā mujhe jāntā hai
is suhūlat se to maiñ saañs nahīñ letā huuñ
jis suhūlat se mirā rizq mujhe miltā hai
jis se milte ho use apnā samajh baiThte ho
ik mulāqāt meñ har shaḳhs kahāñ khultā hai
is liye ḳhatm nahīñ hotā kabhī ranj-e-hayāt
saañs letā huuñ to har zaḳhm harā hotā hai
ab mujhe Dhaltī huī 'umr kā afsos nahīñ
aasrā mere buḌhāpe kā mirā beTā hai
tu jo ab mere muqabil pe khaDa bolta hai
ye zara mujh ko bata kitna mujhe jaanta hai
is suhulat se to main sans nahin leta hun
jis suhulat se mera rizq mujhe milta hai
jis se milte ho use apna samajh baiThte ho
ek mulaqat mein har shaKHs kahan khulta hai
is liye KHatm nahin hota kabhi ranj-e-hayat
sans leta hun to har zaKHm hara hota hai
ab mujhe Dhalti hui 'umr ka afsos nahin
aasra mere buDhape ka mera beTa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.