tu jo mil jae to Thukra dun ye duniya kya hai
tū jo mil jaa.e to Thukrā duuñ ye duniyā kyā hai
mā-sivā tere mire dil kī tamanna kyā hai
chand TuuTe hue shīshoñ ke sivā ai saaqī
aur mai-ḳhāna-e-hastī meñ hamārā kyā hai
shauq se jaao magar vaqt-e-ġhanīmat samjho
phir mileñ yā na mileñ dam kā bharosā kyā hai
din nikal aayā tirī yaad meñ thamte hī nahīñ
aaj ashkoñ kā ḳhudā jaane irāda kyā hai
jab ki aa.iin mashiyyat kā badaltā hī nahīñ
phir shikāyāt se 'ġhamgīn' natīja kyā hai
tu jo mil jae to Thukra dun ye duniya kya hai
ma-siwa tere mere dil ki tamanna kya hai
chand TuTe hue shishon ke siwa ai saqi
aur mai-KHana-e-hasti mein hamara kya hai
shauq se jao magar waqt-e-ghanimat samjho
phir milen ya na milen dam ka bharosa kya hai
din nikal aaya teri yaad mein thamte hi nahin
aaj ashkon ka KHuda jaane irada kya hai
jab ki aain mashiyyat ka badalta hi nahin
phir shikayat se 'ghamgin' natija kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.