tu juda hua jo mujhse mere KHwab jal gae the
tū judā huā jo mujh se mire ḳhvāb jal ga.e the
mirī raat bujh ga.ī thī ki diye badal ga.e the
tire lams kī badaulat mire jism-o-jāñ the raushan
tirī zaat ke ujāle mire dil meñ Dhal ga.e the
jahāñ zindagī luTī hai jahāñ dafn hai tamanna
usī sang-dil galī meñ yūñhī kal nikal ga.e the
tujhe sochne kā lamha koī phuul jaise mahke
tirī yaad jaise ghar meñ ka.ī diip jal ga.e the
mujhe yaad hai abhī tak vo tapish tire laboñ kī
unheñ jab chhuā thā maiñ ne mire haath jal ga.e the
vahī rahguzar thī ġhā.eb bhalā kaise lauT paate
tirī justujū meñ jānāñ jahāñ ham nikal ga.e the
tu juda hua jo mujh se mere KHwab jal gae the
meri raat bujh gai thi ki diye badal gae the
tere lams ki badaulat mere jism-o-jaan the raushan
teri zat ke ujale mere dil mein Dhal gae the
jahan zindagi luTi hai jahan dafn hai tamanna
usi sang-dil gali mein yunhi kal nikal gae the
tujhe sochne ka lamha koi phul jaise mahke
teri yaad jaise ghar mein kai dip jal gae the
mujhe yaad hai abhi tak wo tapish tere labon ki
unhen jab chhua tha main ne mere hath jal gae the
wahi rahguzar thi ghaeb bhala kaise lauT pate
teri justuju mein jaanan jahan hum nikal gae the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.