tu kabhi jab na pas hota hai
tū kabhī jab na paas hotā hai
merā dil kyoñ udaas hotā hai
tujh se shikve to haiñ bahut lekin
terī ulfat kā paas hotā hai
but-parastī ḳhudā-shanāsī hai
sun ke nāseh udaas hotā hai
fikr-e-malbūs kab rahegī bhalā
fan agar be libās hotā hai
mere hamdam 'shagufta' terī hai
kyoñ giraftār-e-yās hotā hai
tu kabhi jab na pas hota hai
mera dil kyon udas hota hai
tujh se shikwe to hain bahut lekin
teri ulfat ka pas hota hai
but-parasti KHuda-shanasi hai
sun ke naseh udas hota hai
fikr-e-malbus kab rahegi bhala
fan agar be libas hota hai
mere hamdam 'shagufta' teri hai
kyon giraftar-e-yas hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.