tu kabhi KHud ko be-KHabar to kar
tū kabhī ḳhud ko be-ḳhabar to kar
apnī jānib bhī ik nazar to kar
ġhalat-andāz ik nigāh sahī
merī hastī ko mo'tabar to kar
vaqfa-e-umr hai ki arsa-e-hashr
is masāfat ko muḳhtasar to kar
rahbarī kā bharam bhī rakh lūñgā
mujh ko mānūs-e-rahguzar to kar
aa.ina aa.ina tirā partav
aa.ina aa.ina guzar to kar
maiñ ne jis tarah ziist kaaTī hai
ek din hī sahī basar to kar
vaqt koh-e-girāñ sahī 'mohsin'
āb-e-jū kī tarah safar to kar
tu kabhi KHud ko be-KHabar to kar
apni jaanib bhi ek nazar to kar
ghalat-andaz ek nigah sahi
meri hasti ko mo'tabar to kar
waqfa-e-umr hai ki arsa-e-hashr
is masafat ko muKHtasar to kar
rahbari ka bharam bhi rakh lunga
mujh ko manus-e-rahguzar to kar
aaina aaina tera partaw
aaina aaina guzar to kar
main ne jis tarah zist kaTi hai
ek din hi sahi basar to kar
waqt koh-e-giran sahi 'mohsin'
aab-e-ju ki tarah safar to kar
- Book : Maajra (Pg. 21)
- Author : Mohsin Bhopali
- Publication : Aiwan-e-Adab 8C Mohammad Ali society, Krachi (1981)
- Edition : 1981
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.