tu kahan hoga bhala mere jahan se
tū kahāñ hogā bhalā mere jahāñ se
tū to utrā hai zamīñ par āsmāñ se
tum to mehmāñ ho hamāre hukm do kuchh
kuchh batāo chāhiye kyā mezbāñ se
pūchhtā haiñ jab koī terā pata to
dekhtā huuñ dhuup aatī hai kahāñ se
tū bahāreñ saath le kar chal rahā hai
ehtiyātan Dar rahā huuñ maiñ ḳhizāñ se
is jahāñ ko hai marammat kī zarūrat
chal kareñ ham ibtidā apne yahāñ se
tu kahan hoga bhala mere jahan se
tu to utra hai zamin par aasman se
tum to mehman ho hamare hukm do kuchh
kuchh batao chahiye kya mezban se
puchhta hain jab koi tera pata to
dekhta hun dhup aati hai kahan se
tu bahaaren sath le kar chal raha hai
ehtiyatan Dar raha hun main KHizan se
is jahan ko hai marammat ki zarurat
chal karen hum ibtida apne yahan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.