tu kahta hai tujhe matlab nahin tha
tū kahtā hai tujhe matlab nahīñ thā
vafā kā paas mujh ko kab nahīñ thā
ye tarka bhā.iyoñ meñ bāñTte tum
tumhāre naam sab kā sab nahīñ thā
miyāñ rone kī maiñ ne mashq kī thī
bahut āsān ye kartab nahīñ thā
hamārī guftugū hotī thī aksar
hamāre saath vo jab jab nahīñ thā
to kyā pahle kī saarī laḌkiyoñ ko
zamāne kī ravish kā Dhab nahīñ thā
ye fashion jo hai ab ‘uryāniyat kā
nahīñ thā bhaa.ī mere tab nahīñ thā
faqat sīkhā hai ham ne tajraboñ se
hamāre vāste maktab nahīñ thā
vo jis ke saath kal maiñ ne bahut pī
vo maikash merā ham-mashrab nahīñ thā
khulegā raaz ye āḳhir meñ 'ishrat'
ḳhudā kā koī bhī maz.hab nahīñ thā
tu kahta hai tujhe matlab nahin tha
wafa ka pas mujh ko kab nahin tha
ye tarka bhaiyon mein banTte tum
tumhaare nam sab ka sab nahin tha
miyan rone ki main ne mashq ki thi
bahut aasan ye kartab nahin tha
hamari guftugu hoti thi aksar
hamare sath wo jab jab nahin tha
to kya pahle ki sari laDkiyon ko
zamane ki rawish ka Dhab nahin tha
ye fashion jo hai ab ‘uryaniyat ka
nahin tha bhai mere tab nahin tha
faqat sikha hai hum ne tajrabon se
hamare waste maktab nahin tha
wo jis ke sath kal main ne bahut pi
wo maikash mera ham-mashrab nahin tha
khulega raaz ye aaKHir mein 'ishrat'
KHuda ka koi bhi mazhab nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.