tu kisi aur ki hai baat ye sochi to na thi
tū kisī aur kī hai baat ye sochī to na thī
bevafā.ī tirī aadat sahī achchhī to na thī
har sahelī tirī kartī rahī jis kī tārīf
tere hāthoñ pe lahū thā mirā mehñdī to na thī
tū jo aayā to mire chehre pe lauTī raunaq
tujh se pahle mirī hālat kabhī aisī to na thī
terī yādoñ kī kasak hai ki baḌhī jaatī hai
ye havā raat tirī samt se guzrī to na thī
jaane kyoñ tū use kartā rahā barbād sadā
vo jo ik dil thā mirā vo koī dehlī to na thī
chhoḌ kar jis ko tirī samt chalā aayā huuñ
tujh se achchhī thī vo lekin tire jaisī to na thī
kaifiyat us kī na dekhī ga.ī ham se 'āqib'
maslahat yuuñ kabhī bāzār meñ baiThī to na thī
tu kisi aur ki hai baat ye sochi to na thi
bewafai teri aadat sahi achchhi to na thi
har saheli teri karti rahi jis ki tarif
tere hathon pe lahu tha mera mehndi to na thi
tu jo aaya to mere chehre pe lauTi raunaq
tujh se pahle meri haalat kabhi aisi to na thi
teri yaadon ki kasak hai ki baDhi jati hai
ye hawa raat teri samt se guzri to na thi
jaane kyon tu use karta raha barbaad sada
wo jo ek dil tha mera wo koi dehli to na thi
chhoD kar jis ko teri samt chala aaya hun
tujh se achchhi thi wo lekin tere jaisi to na thi
kaifiyat us ki na dekhi gai hum se 'aqib'
maslahat yun kabhi bazar mein baiThi to na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.